Padhna hai to insaan ko .....

Padhna hai to insaan ko padhne ka hunar seekh,
likha hai chehron pe kitaabon se bhi zyaada....

Paal le kuch rog....


Paal le kuch rog zindagi ke vaaste
sirf sehat ke sahaare zindagi nahi katt-ti ....

Apni matti pe hi ....

Apni matti pe hi chalne ka saleeqa seekho,
sang-e-marmar pe chaloge to phisal jaaoge.....

Kehte hain jeete hain....


Kehte hain jeete hain ummeed pe log,
humko jeene ki bhi ummeed nahi......

Rahi na taakat-e-guftaar....


Rahi na taakat-e-guftaar, aur agar ho bhi,
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai.......

Na mitt sakeingi ye.....


Na mitt sakeingi ye tanhaayiyaan ae dost,
jo tu bhi ho, to tabiyat zaraa sambhal jaaye....

Tamanna sar balandi ki....

Tamanna sar balandi ki humein bhi tang karti hai,
magar hum doosron ko raund kar uuncha nahi hote.....

Tumne aakar mizaaj pooch liya....


Tumne aakar mizaaj pooch liya,
ab tabiyat kahaan sambhalti hai...

Main apne jism ke baahar


Main apne jism ke baahar talaashta hoon usey,
vo meri rooh ke andar meri talaash mein hai....

khanda-e-ahal-e-jahaan ki....

khanda-e-ahal-e-jahaan ki mujhe parwaah kya thi
tum bhi haste ho mere haal pe rona hai yahi



khanda-e-ahal-e-jahaan=Duniya ki hansi

Dekhta rehta hai ...


Dekhta rehta hai , surat ko tu aainon mein,
apni seerat ka bhi dum bhar ko nazaaraa karta.....

Kam log nakayas pe ...


Kam log nakayas pe nazar rakhte hain,
baat to jab thi, paida mera saani karte......

nakaayas= faults

Faasle bhi kad-o-kaamat ko ......


Faasle bhi kad-o-kaamat ko ghataa dete hain,
mujhse milna to balandi se utarkar milna.....

Hai tapti dhoop mein saaye....


Hai tapti dhoop mein saaye aziztar lekin,
jo hum mizaaj na hon , unke saath kya chalna.....

Bahut aasaan hai auron ke....


Bahut aasaan hai auron ke aeibon per nazar rakhna,
magar bardaasht apni zaat per tankeed kaise ho.....

Har bheed mein balaand ....


Har bheed mein balaand rahaa hai unhin ka kadd,
akhlaak-o-aehtraam se sar jinke kham miley.....

Awwali shart hai insaan ka....


Awwali shart hai insaan ka insaan hona,
baad ki baat hai hindu ya musalmaan hona.....

Maine ye kab kahaa ke ...


Maine ye kab kahaa ke mere haq mein ho jawaab
lekin khaamosh kyun hai koi faisla to de

Gum neend ki aaghosh mein


Gum neend ki aaghosh mein hone nahi deta,
raaton ko tasavvur tera sone nahi detaa.....

Ye alag baat hai ke....


Ye alag baat hai ke zaahir nahi hone dete,
warna mausam ka to hum per bhi asar hota hai....

Roz jeeta hua.....


Roz jeeta hua, roz marta hua, 
har naye din, nayaa intzaar aadmi ...

Jo bichade hain......


Jo bichade hain kab mile hain 'Faraaz',
phir bhi tu intzaar kar shaayad.......

Jo zindagi thi



Jo zindagi thi ,meri jaan tere saath gayi,,
bus ab to umr ke nakshe mein waqt bharna hai..

Tum aese kaun khuda ho ki...


Tum aese kaun khuda ho ki, umr bhar tumse,
ummeed bhi rakhooun, na-ummeed bhi na rahooun......

ummeed to bandh jaati....


ummeed to bandh jaati, taskeen to ho jaati, 
vaada na wafa karte, vadaa to kiya hota

Hazaar unwan-e-Guftugoo they



Hazaar unwan-e-Guftugoo they, reh Gaye yeh soch soch ke hum,
yeh baat usey naa-Gawar hogi , Yeh lafz usey na paSand honge...

Insaan insaan ko kya deta hai....


Insaan insaan ko kya deta hai
aadmi sirf vaseela hai khuda deta hai
vo jahannum bhi de mujhko to karooun shukr adaa
koi apna hi samajhkar to sazaa deta hai

Tu nahi to zindagi mein ...

Tu nahi to zindagi mein aur kya reh jaayega
door tak tanhaayiyon ka silsila reh jaayega


dard ki saari tahein aur saare guzre haadse
sab dhuaan ho jaayeinge ekk waaqeyaa reh jaayega


yun bhi hoga vo mujhe dil se bhula dega magar
ye bhi hoga khud usi mein ekk khala reh jaayega


daayre inkaar ke ikraar ki sargoshiyaan
ye agar toote kabhi to faasla reh jaayega



Tamannaaoun ke behlaave mein .....

tamanaaoun ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain
kabhi hum chot khaate hain , kabhi hum muskuraate hain


hum aksar doston ki bewafaayi seh to lete hain
magar hum jaante hain dil hamaare toot jaate hain


kisi ke saath jab beete huye lamhon ki yaad aaye
thaki aankhon mein ashkon ke sitaare jhilmilaate hain


ye kaisa ishteyaaki deed hai aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyun jaakar laut aate hain

Apne dil ke darwaaze.....


Apne dil ke darwaaze khule rakhna ,,
Baaz log dastak ke qaayal nahi hote...

aarzoo dafan ho gar ....


aarzoo dafan ho gar dil mein ,
issey badhkar koi mazaar nahi...

Ishq jab tak na kare.....


Ishq jab tak na kare ruswa
aadmi kaam ka nahi rehta 

khuda jab dost hai ae "Daagh".....


khuda jab dost hai ae "Daagh", kya dushman se andesha,
hamaara kuch kisi ki dushmani se ho nahi sakta.....

Tum apne dukh se ....


Tum apne dukh se akele nahi ho afsarda
tumhaare chahnewaale bhi sog karte hain ...

Dil ki taakiid hai


dil ki taakiid hai ,har haal mein ho paas-e-wafaa,
kya sitam hai ke sitamgar ko sitamgar na kaho

lafz taasiir se bante hain



lafz taasiir se bante hain talaffuz se nahi
ahal-e-dil aaj bhi hai ahal-e-zubaan se aagey

Bahut kam nazar aaya mujhe.....


Bahut kam nazar aaya mujhe iikhlaas logon mein
ye daulat bantt gayi shaayad, nihaayat khaas logon mein

Yaqiin na aaye to ekk baar...


Yaqiin na aaye to ekk baar poochkar dekho,
jo hans raha hai zakhmon se choor niklega...

Zindagi kis tarah kategi dost....


Zindagi kis tarah kategi dost...
Raat katt-ti nazar nahi aati ....

Zindagi hai apne qabze mein ....


Zindagi hai apne qabze mein aur na apne bus mein maut,
aadmi majboor hai aur kis qadar majboor hai....

Zindagi tujhse har ik saans per....


Zindagi tujhse har ik saans per samjhauta karoon ,
shauq jeene hai mujhko,  magar itna to nahi.... 

Zindagi ekk daud hai to


Zindagi ekk daud hai to saans phoolegi zaroor, 
ya badal mafhuum uska, ya phir fariyaad na kar...

mafhuum=meaning 

Maut ka bhi iilaaj ho


Maut ka bhi iilaaj ho shayad..
Zindagi ka koi iilaaj nahi ....







Har taraf zist ki rahon mein kadi dhoop hai dost,
teri yaadon ke saaye hain,  panaahon ki tarah...



Zist= Zindagi

हाशिये का मैं ....


मै ......, ना -ना  नाम नहीं बताना चाहता
वर्ना - जाति , धर्म , संप्रदाय में बाँट दिया जाऊंगा ..
पढना चाहता हूँ  , आगे बढ़ना चाहता हूँ ..
जिससे अपने देश - समाज के लिए कुछ सार्थक कर सकूँ
लेकिन - पढ़ ना पाने की मजबूरियां हैं
आर्थिक - सामाजिक बेड़ियाँ हैं
जिससे हाशिये का मैं 
हाशिये तक ही सीमित रह जाता हूँ ....
सुना है -
आजकल आरक्षण का जिन्न ,
बोतल से बाहर आ गया है ...
क्या  मेरी योग्यता और लगन को
ये दानव निगल ना लेगा ...
और -
अदना सा मै -
हाशिये की रेखा पार ही ना कर पाऊंगा......
मेरे कई जानने वाले
इस जिन्न की रेखा में समाते हैं ...
लेकिन - फिर भी
वे मेरे साथ ही रह जाते हैं ...
ऊचाईयों को छू पाना तो स्वप्न सा ही है .....
इस तकलीफ का फंदा
मेरा गला कस रहा है
जिस कारण -
मेरी जुबान को भी शब्दों के पंख लगने लगे हैं ...
कहना चाहता हूँ उस सियासत से ...
उस तबके से ...
जो शान से घोषणाओं का बिगुल बजाते हैं
और हमारे लिए मुश्किलें पैदा कर जाते हैं ....
एक बार सोच के देखो -
स्वार्थपरता से बाहर निकल कर देखो -
मेरे जैसे लोग ...
जहाँ हैं ...
वहीं खड़े हैं , और आगे भी वहीँ खड़े नजर आयेंगें
अगर -
यथार्थ में हमारे लिए कुछ करने का जज्बा है
तो .... टुकड़ों में बाटने का हथियार हम पर मत चलाओ ...
योग्यता को मापदंड बनाओ ...
'आधार ' और  'जनसँख्या  रजिस्टर ' से
हमारी आर्थिक पहचान बताओ .....
 योग्यता सूची में नाम आने के बाद भी
जब हम फीस देने में सक्षम ना हों
तब आगे बढकर कम लगत की शिक्षा दिलवाओ ....
दफ्तरों में भी योग्यता को आधार बनाओ ...
साथ ही - कुछ और भी  अनछुई सी समस्याएं हैं
जिनके कारणों पर चिंतन कर समाधान करवाओ .....
कहते हैं -
बूँद - बूँद से घट भरता है
ईमानदार पहल कर के देखो ......
हमारे जैसे हाशिये के लोगों को  आरक्षण की जरूरत नहीं .
हमारा स्तर खुद व खुद सुधर जायेगा ..
साथ ही -हम अपने नाम से मुख्य धारा  के साथ जी पायेंगें ......!!!!!!!!
(प्रियंका राठौर )

ab zaraa tafseel se ae Qaasid-e-khusro bataa.....
usne pehle kya kaha, phir kya kaha, phir kya kaha....


Wo tujh ko Bhooley Hain tu Tujh Pe laazim hai "Meer"
Khaak dal, Aag laga, Naam na Ley, Yaad na kar 


Ye Maloom hai humein.......ki
Bahut Chaha hai Zamane ne humko.
Hum Pasand to Sabko hain.....Magar
Sirf Zarurat ki Tarah.

teri hi deed say hai mera aaghaaz_e_din yaraa...
bohat takleef deta ha ye tera deir tak sonaa...

Anger is a false show of strength by a weak  person while politeness and cool mind reflects dignity and strength of a strong person.

tasavvur tera ...


Band sheeshon ke pare dekh,
Dareeche ke udhar,
Sabz peron pe ghani shaakhon pe,
Phoolon pe wahaan,
Kaise chup chaap barasta hai musalsal paani,
Kitni aawaazein hain,
Ye log hain,
Ye baatein hain,
Magar zehan ke peeche kisi or hi sateh pe kahin,
Jaise chup chaap barasta hai tasavvur tera.

(Gulzaar)


soz-o-firaq-e-yar mein marna nahi kamaal ghalib
marr marr k hijr-e-yaar mein jeena kamaal hai




shiddat-e-dard se sharminda nahi meri wafa 
jin say rishtey gehrey hon wo zakham bhi gehrey dete hain...


har ik naam pe nahi rukti 
dharkanein bahut ba-asool hoti hain


mujh pe jab bhi sitam karna to taras na khaana tum
mujh pe har saza jaaiz hai, ke maine mohabbat ki hai



Lo Khareedo Ek Nazar Ke Mol Mujh Ko......
Apni Qeemat Mein Ri'aayat Kar Raha Hoon



riaayat= discount


Tere Khat Nikaalna, Kabhi Dekhna, Kabhi Choomna.,.,.,
Yehi Mashghala, Yehi Silsila, Yehi Kaarobaar Hai Aaj Kal


raat bhar sisakty rehna bus ek shakhs ki khatir.....
isey agar ishq kehtey hain?
to wallaaah meri tauba...

Ab Sanwartey raho bla se meri...
Dil ne Sarkaar khud kushi kar li


Usey Mohabbat me dhokha to hum bhi de sakte the e-dost,
Magar Ragon mein dorti wafa se Baghawat nahi hoti…

Mat talaash kar meri zaat me ayeb,
fakat itna keh de ki main tere kaabil na raha…


Hume to pata tha ke tu bewafa hai,
Tujhe chaha islye tha ke teri fitrat badal jaye…

Wo thukra kar phir minnatein karta raha meri,
Usse kah do ke mohabbat karna pesha nahi mera…


Dil Ke Rishton Ki Nazaakat wo Kya Janein ‘Faraz,’
Naram Lafzon Se Bhi Lag Jati Hain Chotein Aksar…


Hamne guzre huye lamhon ka usey hawaala jo diya,
Hans ke Woh kahne lagaa Ke “Raat gaii baat gaii”….


Hamara Tazkira Choro, Hum Aise Log Hain Jinko,
Nafrate Kuch Nahi Kahti, mohabbat Maar Jaati Hai…

Khairaat mein mili khushi mujhe acchi nahi lagti ,
Main apne ghamon mein rehta hoon nawaabon ki tarah…


Hain Sabhi Ko Humse Shikayatain,Hame Kisi Se koi Gila Nahi,
Ye Asool Hum Ne Bana Liya, Naa Mila Karo Naa Gila Karo ..