Saturday, March 31, 2012

Dastak se dar ka


Dastak se dar ka, faasla hai aeitmaad ka
per laut jaane ko yahi taakhir hai bahut

Khoob karta hai vo ...


khoob karta hai vo mere zakhm ka iilaaj
kuriedkar dekh leta hai, aur kehta hai waqt lagega

kaisi guzar rahi hai


kaisi guzar rahi hai, sabhi poochte hain
kaise guzaarta hoon, koi poochta nahi.....

Ajab paheliyan hain



Ajab paheliyan hain ye haath ki lakeeron mein...

safar likhey magar manzalein nahin likhiin

Mulaqaatein musalsal hon to....



Mulaqaatein musalsal hon to dil-chaspi nahi rehti,

Bare dil-chasp hote hain ye be-tarteeb yaarane......

Main ye soch ke umr ki



main ye soch ke umr ki unchaaiyaan chadha
shaayad yahaan, shayaan yahaan, shayad yahaan hai tu

Baat chup reh ke bhi keh dete....


Baat chup reh ke bhi keh dete hain kehnewaale
baaz-auqaat khaamoshi bhi zabaan hoti hai

Mujhe likh-likh kar mehfooz kar lo.....


Mujhe likh-likh kar mehfooz kar lo
main tumhaari baaton se nikalta ja raha hoon.....

Main tere zarf ko....


Main tere zarf ko pehchaan kar jawaab doounga
tu mujhe mere kadd ke baraabar sawaal de...

Chaahtein hain vo ....


Chaahtein hain vo har baar ekk nayaa chaahnewaala
ae khuda ! mujhko har roz ekk nayi si surat de de

Tere kirdaar se hai...


Tere kirdaar se hai,  tera pareshaan hona
varna mushkil nahi , mushkil teri aasaaN hona

Bus ek saada sa kaaghaz....


Bus ek saada sa kaaghaz , na koi lafz, na koi phool,
ajab zubaan mein, is baar khatt likha usney..