Saturday, March 03, 2012

Tumne aakar mizaaj pooch liya....



















Tumne aakar mizaaj pooch liya,
ab tabiyat kahaan sambhalti hai...

Unknown

Main apne jism ke baahar


Main apne jism ke baahar talaashta hoon usey,
vo meri rooh ke andar meri talaash mein hai....

Unknown 

Photo Credit Pinterest

khanda-e-ahal-e-jahaan ki....

khanda-e-ahal-e-jahaan ki mujhe parwaah kya thi
tum bhi haste ho mere haal pe rona hai yahi



khanda-e-ahal-e-jahaan=Duniya ki hansi

Dekhta rehta hai ...


Dekhta rehta hai , surat ko tu aainon mein,
apni seerat ka bhi dum bhar ko nazaaraa karta.....

Hai tapti dhoop mein saaye....


Hai tapti dhoop mein saaye aziztar lekin,
jo hum mizaaj na hon , unke saath kya chalna.....

Bahut aasaan hai auron ke....




















Bahut aasaan hai auron ke aeibon per nazar rakhna,
magar bardaasht apni zaat per tankeed kaise ho.....

Unknown

Har bheed mein balaand ....




























Har bheed mein balaand rahaa hai unhin ka kadd,
akhlaak-o-aehtraam se sar jinke kham miley.....

Unknown
Photo Credit:Unknown

Search This Blog