Tuesday, March 20, 2012

Sunn....


Usney kaha sunn!
Ehad nibhaney ki Khaatir mat aana
Ehad nibhaaney vaaley aksar majaburi ya
Mahjuri ki thakan se lauta karte hain
Tum jaao aur darya darya pyaas bujhaao
Jin aankhon mein Doobo
Jis dil mein bhi utro
Meri talab awaaz na degi
Lekin jab meiri chahat aur meri Khwahish ki lau
Itni taiz aur itni oonchi ho jaaye
Jab dil ro dey
Tab laut aanaa






Meaning in English ---------------






She said:------- listen
Don't come back if
you think it
to fulfill your promise.
People with obligations are
either compelled or
are tired of separations.
Go and fulfill others' desires
and fall in love with other women.
I will not call you.
But when you burn inside
with the blaze of wanting me,
needing me,
and your heart weeps,
you can then
come back to me



Nida Fazli's nazm on death of his father

Nida Fazli wrote this nazm at the death of his father. He was not able to reach the burial coz of some reasons and he paid his tribute to his father in diz Nazm....






Tumhari qabr per

tumhari qabr per main
Fateha parhne nahi aaya

mujhe maaloon tha, tum marr nahi sakte
tumhari maut ki sachi khabar
jis ne uraaii thi, woh jhoota tha
woh tum kab the?
koi sookha hua pattaa, hawa mein gir ke toota tha.

meri aankhein
tumhare manzaron mein qaid hain ab takk
main jo bhi dekhta hoon, sochta hoon
woh, wohi hai
jo tumhari nek-naami aor bad-naami ki duniya thi

kaheen kuch bhi nahi badla

tumhare haath meri ungliyun mein saans lete hain
main likhne ke liye jab bhi, qalam kaagaz uthaata hoon
tumhein baitha hua main
apni hi kursi mein pata hoon

badan mein mere, jitna bhi lahu hai
woh tumhari
lagzishon, na-kaamiyun ke saath behta hai
meri awaz mein chup ker, tumhara zehn rehta hai

meri beemariyun mein tum,
meri laa-chaariyun mein tum

tumhari qabr per jis ne tumhara naam likha hai
woh jhoota hai
tumhari qabr mein, main dafn hoon
tum zinda ho !
tum zinda ho !
mile fursat kabhi to Fateha parhne chale aana...

(Nida Fazli)