ab umar ki naqdi khatam huyi
ab hum ko udhaar ki haajat hai
hai koi jo sahokaar bane?
hai koi jo dewan haar bane?
kuch saal maheene din logon!
par sood biyaj ke bin logo!
haan apni jaan ke khazane se
haan umer ke tosha-e-khane se
kya koi bhi sahokaar nahi?
kya koi bhi dewan haar nahi?
jab naam udhaar ka aaya hai
kyun sab ne sar ko jhukaya hai
kuch kaam hamein niptaane hain
jinhen janne waale jane hain
kuch pyar dulaar ke dhande hain
kuch jag ke doosre phande hain
hum mangte nahi hazaar baras
dus paanch baras do chaar baras
haan sood boyaaj bhi de leinge
haan aur khiraaj bhi de leinge
asaan bane dushwaar bane
par koi to dewan haar bane
tum kon tumhara naam hai kya?
kuchhum se tum ko kaam hai kya?
kyun is majme me aaye ho?
kuch maangte ho?kuch laye ho?
teh kaarobaar ki bateen hain
yeh naqad udhaar ki bateen hain
hum bethain hain kashkool liye
sab umar ki naqdi khatam kiye
gar shair ke rishte aaye ho
tab samjho jald judai ho
ab geet gaya sangeet gaya
haan shair ka mousam beet gaya
ab patjhar aayi paat girey
kuch subha girey kuch raat girein
yeh apne yaar purane hain
ik umer se hum ko jaane hain
in sab ke paas hai maal bohat
haan! umer ke maah-o-saal bohat
in sab ko humne bulaya hai
aur jholi ko phelaya hai
tum jao, insey baat karein
hum tum se na mulaqaat karein
kya paanch baras?
kya umer ke apne paanch baras?
tum jaan ki thaili laye ho?
kya pagal ho soodai ho?
jab umer ka aakhir aata hai
har din sadiyaan ban jata hai
jeene ki hawis hi nirali hai
hai koun jo issey khaali hai
kya mout se pehle marna hai?
tum ko to bohat kuch karna hai
phir tum ho hamari koun bhala
Haan tum se hammara kiya Rishta??
Kiya sood byaaj ka laalach hai?
Kisi aur kharaaj ka laalach hai?
Tum sohni ho, man- mohni ho!
Tum ja ker poori umr jeeyoo!
Yeah paanch baras yeah chaar baras
Chhin jayein tou laggeiN hazar baras
Sub dost gaye sub yaar gaye
They jitnay sahookaar gaye
Bus Eik yeah naari bethi hai!
Yeah kon hai?kiya hai? kaisi hai?
HaaN ummr hummeiN darkaar bhi hai
HaaN jeenay se hummeiN pyaar bhi hai
Jab maaNgeiN jeevan ki ghaRiyaaN
"Gustaakh AkhiyaaN kith Ja laRiyaaN"
Hum qarz tummeiN lauta deinge
Kuch aur bhi ghaRiyaaN la Deinge
Ju Saa'at-o mah-o saal nahiN
Wo ghaRiyaaN jin ko zavaal nahiN
Lo Apnay Ji MeiN Utaar Liya
Lo Hum Nay Tum Se Udhaar Liya