Monday, March 05, 2012

Hum vo bedard hain


Hum Wo Be-Dard Hain
Khwaab Ganwa Kar Bhi Jinhen Neend Aa Jaati Hai
Soch Soch Kar Bhi JinKe ZehnoN Ko Kuch Nahin Hota
Toot Phoot Kar Bhi Jin Ke Dil Dharakna Yad Rakhtey Hain














Toot Kar Roney Ki Koshish Mein Jo
Baat-Be-Baat Muskaratey Hain
Shaam Se Pehley Mar Janey Ki Khwahish Mein Jo
Jetey Hain 
Aur.....
Jeete,  
Chale Jaatey Hain...
Hum vo bedard hain.......

Alfaaz ke jhoothe bandhan


Alfaaz ke jhootay bandhan mein
Aghraaz kay gehre pardon mein
Har shaqs muhabbat kerta hai
Halaan ke muhabbat kuch bhi nahi
Sab jhoote rishte naate hain

Sab dil rakhne ke batain hain
Sab asli roop chupaate hain
Aehsaas se khali log yahaan
Lafzon ke teer chalaate hain
Ik baar nazar mein aa kar wo
Phir saari umr rulaate hain
Ye ishq-o-muhabbat mehar-o-wafa
Sab rasmi rasmi baatain hain
Her shaqs khudi ke masti mein
Bas apni khaatir jeeta hai..............

Aur tum aao


Kabhi yun bhi to ho 
dariya ka sahil ho 
poore chand ke raat ho 
aur tum aao 
kabhi yun bhi to ho 
pariyon ke mehfil ho 
koi tumhari baat ho 
aur tum aao 
kabhi yun bhi to ho 
ye narm mulayam thandi hawaayein 
jab ghar se tumhare guzarein 
tumhari khushbu churayein 
mere ghar le aayein 
kabhi yun bhi to ho 
sooni har manzil ho 
koi na mere sath ho 
aur tum aao 
kabhi yun bhi to ho 
ye badal aise toot ke barse
mere dil ki tarah milne ko 
tumhara dil bhi tarse 
tum nikalo ghar se 
kabhi yun bhi to ho 
tanhaayi ho, dil ho 
boondein ho, barsaat ho 
aur tum aao 
kabhi yun bhi to ho

Professional Tips


1. On Earnings: Never depend on Single income make investment to create a second source. 
2.On Spending: If you buy things u dont need, soon you will have to sell things you need. 
3.On Savings: Dont save what is left after spending, spend what is left after savings. 
4.On taking Risk: Never test the depth of river with both feet. 
5.On Investment: Dont put your all eggs in a single basket

Jaane Us Shaqs Ko Ye...


Jaane Us Shaqs Ko Ye Kaisa Hunar Ataa Hai
Raat Hoti Hai To Ankho'on Main Utar Aata Hai.

Woh Mujhko Bhool Baitha Hai


Wo Mujhko Bhool Baitha Hai, Nahi Hairat Hui Sunkar "Mohsin"
Wo Apni Aam Si CheezoN Ko Aksar Bhool Jata Hai...

Mujh Mein Belaus Mohabbat Ke Siwa.....


Mujh Mein Belaus Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahi "Mohsin"
Tum Chaaho To Meri Socho'on Ki Talashi Le Lo....

Mangi Wazahatein....


Mangi Wazahatein, Na Mangi Koi Daleel
Dil Ne To Had Hi Kar Di Us Par Aitbaar Ki...

Mitti Main Mila Deti Hai....


Mitti Main Mila Deti Hai, Hanste Huye Chehrey 
Taqdeer Ko RishtoN Ki,  Pehchan Kahaan Hai...

Tum Samjhtay Ho.....


Tum Samjhtay Ho Har Shakhs Nasamjh Hai
Waqt Ustaad Hai Har Baat Sikha Deta Hai...

Shohrat Mili To Neend Bhi ...


Shohrat Mili To Neend Bhi Apni Nahi Rahi
Benaam Zindagi Thi To Kitna Sukoon Tha...

Humse Poochni Hai To....


Humse Poochni Hai To SitaaroN Ki Baat Poocho
KhawaaboN Ki Baat To Wo Kartay Hain Jinhein Neend Aati Ho....!!!

Zindagi ki kitaab


Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai 
Ye Kitaab bhi Kya Kitaab Hai
Kahin Ek Haseen Sa Khwaab Hai 
Kahin Jaan Leva Azaab Hai
Kahin Ansuo’on Ki Hai Daastaan
Kahin Muskurahatein Behisaab Hain
Kayi Chehre Is Mein Chupe Huye
Ek Ajeeb Sa Ye Naqaab Hai
Kahin Kho Diya Kahin Paa Liya 
Kahin Ro Liya Kahin Ga Liya
Kahin Cheen Leti Hai Har Khushi 
Kahin Meharbaan Behisaab Hai
Kahin Chaanv Hai Kahin Dhoop Hai 
Kahin Aur Koi Roop Hai 
Kahin Barkato’on Ki Hain Baarishein 
Kahin Tashnagi Behisaab Hai…!!!

Thodi hai..


Ye Aankh Rone Ki Shiddat Se Laal Thori Hai
Malal To Hai Magar Itna Malal Thori Hai

Bas Apnay Wastay Hi Fikarmand Hain Sab Log
Yahan Kisi Ko Kisi Ka Khayal Thori Hai

Paro’on Ko Kaat Diya Hai Uraan Se Pehle
Ye Khauf-E-Hijar Hai Shoq-E-Wisaal Thori Hai

Mazaa To Tab Hai Ke Tum Jaan-Buujh Ke Haaro
Hamesha Jeet Hi Jana Kamaal Thori Hai

Lagana Parti Hai Dubki Ubharnay Se Pehlay
Ghuroob Hone Ka Matlab Zawaal Thori Hai…


Nahi murr ke dekha..


Dil Par Aisay Bhi AzaaboN Ko Utartay Dekha
Hum Ne Chup Chaap Usay Khud Se Bichartay Dekha
Tujh Ko Socha To Har Soch Mai Khushbo Utri
Tujh Ko Likkha To Har Lafz Mehaktay Dekha
Yaad Aa Jaye To Qaabu Nahi Rehta Dil Par
Warna Duniya Ne Bhi Hum Ko Taraptay Dekha
Teri Soorat Ko FaQat Aankh Hi Na Tarsi Hai
RastoN Ko Bhi Teri Yaad Mai  Rotay Dekha
Hum Mohabat Ke Liye Aaj Bhi Dewaney Hain
Ye Alag Baat Hai Ke Tum Ne Nahi Murr Ke Dekha...!!!

Naam hone do


Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone Do
Mai Khud Hi Laut Jaoonga Mujhe Nakaam Hone Do
Mujhey Badnam Karne Ke Bahanay Dhoondtay Ho Kyun..??
Mai Khud Ho jaoonga Badnam Pehley Naam Hone Do
Abhi Karna Nahi bilkul ,Aetraaf-E-Shikast Mujhko
Mai Sab Tasleem Kar Loonga Ye Charcha Aam Hone Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta 
Wafayen Beich Lena Par ,Zara Neelam Hone Do
Naye Aaghaz Mein Hi Hosla, Kyun Haar Baithey Ho...??
Jeet Jaogay Tum Sab Kuch Zara Anjaam Hone Do...!!!

Mohabbat bhi Mausam ki tarah


Tum Mohabbat Bhi Mausam Ki Tarha Nibhatey Ho
Kabhi Barastey Ho Kabhi Ek Boond Ko Tar'saatey Ho
Pal Mein Kehte Ho Zamaney Me Faqat Tere Hain
Pal Mein Izhaar-e-Muhabbat Se Mukar Jaate Ho
Bhari Mehfil Me Dushmanon Ki Tarah Miltey Ho
Aur Duaaon Me Mera Naam Liye Jate Ho
Dayaar-E-Ghair Me Mujh Ko Talash Karte Ho
Miloon To Paas Se Chup Chaap Ghuzer Jatey Ho....!!!

Behisi Ki Duniya Mein....


Behisi Ki Duniya Mein,  Do Sawal Mere Bhi
Kis Liye Jiya Jaye,  Kis Tarha Jiya Jaye....!!!

Yaad rakhta hoon....


Main Logon Se Mulaaqaton Ke
Lamhe Yaad Rakhta Hoon


Main Baataien Bhuul Bhi jaaoun
To Lehze Yaad Rakhta Hoon


Sar-e-Mehfil Nigahein Mujh Pe
Jin Logon Ki Parti Hain


Nigahon ke Hawale Se
Wo Chehre Yaad Rakhta Hoon


Zara Sa Hutt ke Chalta Hoon
Zamane Ki Riwa’yat Se


Ke Jin Pe Bojh Main Daaloon
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Donald Zolan's paintings




























Mere pyaar ko samajhne ke liye ...


Mere pyaar ko samajhne ke liye bus itna kaafi hai,
hum uske hargiz nahi hote , jo har kisi ka ho jaaye...

Bichar gayaa hai jo....


Bichar gayaa hai jo uska saath kya mangooN,
zaraa si umr hai gham se nijaat kya maangooN,
wo saath hotaa to hoti zarooratein bahut,
akeli jaan ke liye qaaenaat kya maangooN

Mohabbat bandagi hai....


Mohabbat bandagi hai, ismein tan ki qurbat na maang,
ke jisko choo liya jaaye, usey pooja nahi jaata...

Samajh Jaataa hoon ,lekin dier se,.....


Samajh Jaataa hoon ,lekin dier se, main daav-piech sabke,
Vo baazi jeet jaate hain mere chaalaak hone tak....

Uski gumsum saadgi pe....


Uski gumsum saadgi pe mat jaao,
vo samandar hai to phir gehra bhi hogaa...

Udne lagey wajood ke....

Udne lagey wajood ke reze hawa ke saath,
main is kadar khooloos se bikhra kabhi na tha...


reze=tukde

Pehle khooshbuoun ka mizaaj....

Pehle khooshbuoun ka mizaaj to parakh lo 'Ashraf'
phir gulistaaN mein kisi gul se Mohabbat karna

Mohabbat rooh mein utraa hua....

Mohabbat rooh mein utraa hua mausam hai O Jaanaa,
taa'lluq khatm karne se mohabbat kam nahi hoti,
bahut kuch tumse badhkar bhi mayyasar tha, mayassar hai,
na jaane phir bhi kyun teri zaroorat kam nahi hoti......

Ghaate ka Sauda

           Ye kahaani Saadat Hussain Munto ji ki hai jismein Aazaadi se pehle do dosto ke beech huye ek kisse ka zikr kiya hai, ye kahaani bahut se sawaal hamaare liye chor jaati hai....

GHATE KA SAUDA

 Do doston nein milkar dus bees ladkiyon mein se ek ladki chuni aur bayaalis  rupaye (42 rupees baat aazaadi se pehle ki hai )  dekar usey khareed liya. Raat guzaarkar ek dost nein us ladki se poocha,"Tumhaara naam kya hai ?" 
                Ladki nein apna naam bataaya to vo  dost bhinna gaya," Humse to kahaa kahaa gaya tha ki tum doosre mazhab ki ho ..... Ladki nein jawaab diya ,"usne jhooth bola tha".
                Ye sunkar vo dauda dauda apne dost ke paas gaya aur kehne lagaa," Us haaramzaade nein hamaare saath dhookha kiya hai.. Hamaare mazhab ki ladki humein thamaa di...Chalo vaapis kar aayein ....................................................

(Saadat Hussain Munto)