Saturday, March 03, 2012

Apne dil ke darwaaze.....


Apne dil ke darwaaze khule rakhna ,,
Baaz log dastak ke qaayal nahi hote...

aarzoo dafan ho gar ....


aarzoo dafan ho gar dil mein ,
issey badhkar koi mazaar nahi...

Ishq jab tak na kare.....


Ishq jab tak na kare ruswa
aadmi kaam ka nahi rehta 

khuda jab dost hai ae "Daagh".....


khuda jab dost hai ae "Daagh", kya dushman se andesha,
hamaara kuch kisi ki dushmani se ho nahi sakta.....

Tum apne dukh se ....


Tum apne dukh se akele nahi ho afsarda
tumhaare chahnewaale bhi sog karte hain ...

Dil ki taakiid hai


dil ki taakiid hai ,har haal mein ho paas-e-wafaa,
kya sitam hai ke sitamgar ko sitamgar na kaho

lafz taasiir se bante hain



lafz taasiir se bante hain talaffuz se nahi
ahal-e-dil aaj bhi hai ahal-e-zubaan se aagey

Search This Blog