Saturday, January 07, 2012

Harf.......... हर्फ़



hum dono jo harf hain 
हम दोनों जो  हर्फ़  हैं 
hum ek roz mile..
हम एक रोज़ मिले 
ek lafz banaa..
एक लफ्ज़ बना 
aur humne ek maayne paaye...
और हमने एक मायने पाए 
phir jaane kya hum per guzri...
फिर जाने हम पर क्या गुजरी 
aur ab yun hain..
और अब यूँ हैं 
tum ek harf ho, ek khaane mein
तुम एक हर्फ़ हो , एक खाने में 
main ek harf hoon, ek khaane mein
मैं एक हर्फ़ हूँ एक खाने में 
beech mein...
बीच में 
kitne lamhon ke khaane khaali hain
कितने लम्हों के खाने खाली हैं 
phir se koi lafz bane
फिर से कोई लफ्ज़ बने 
aur hum dono ek maayne paayein
और हम दोनों एक मायने पाएं 
aesa ho sakta hai
ऐसा हो सकता है 
lekin
लेकिन 
sochnaa hogaa
सोचना होगा 
in khaali khaanoN mein humein bharnaa kya hai ...............
इन खाली खानों में हमें भरना क्या है ............




ye vo pehli nazm hai jise main kisi se share karna pasand karti hoon, nahi jaanti isey kisne likha , magar sacch mein behad karaamaati hain ye harf..

4 comments:

  1. nice ! nazm k alfaz bahut najuk hote h...

    ReplyDelete
  2. ji sahi kahaa vivek ji

    ReplyDelete
  3. बहुत खूबसूरत रीना जी.....
    आप देवनागरी में लिखें तो और आनंद आये रचना पढ़ने में....

    सादर.
    अनु

    ReplyDelete
  4. ji koshish karooungi ke aaienda kavitaayon ka topic main devnaagri mein hi post karoun

    ReplyDelete

Plz add your comment with your name not as "Anonymous"