Saturday, March 03, 2012

Insaan insaan ko kya deta hai....


Insaan insaan ko kya deta hai
aadmi sirf vaseela hai khuda deta hai
vo jahannum bhi de mujhko to karooun shukr adaa
koi apna hi samajhkar to sazaa deta hai

Tu nahi to zindagi mein ...

Tu nahi to zindagi mein aur kya reh jaayega
door tak tanhaayiyon ka silsila reh jaayega


dard ki saari tahein aur saare guzre haadse
sab dhuaan ho jaayeinge ekk waaqeyaa reh jaayega


yun bhi hoga vo mujhe dil se bhula dega magar
ye bhi hoga khud usi mein ekk khala reh jaayega


daayre inkaar ke ikraar ki sargoshiyaan
ye agar toote kabhi to faasla reh jaayega



Tamannaaoun ke behlaave mein .....

tamanaaoun ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain
kabhi hum chot khaate hain , kabhi hum muskuraate hain


hum aksar doston ki bewafaayi seh to lete hain
magar hum jaante hain dil hamaare toot jaate hain


kisi ke saath jab beete huye lamhon ki yaad aaye
thaki aankhon mein ashkon ke sitaare jhilmilaate hain


ye kaisa ishteyaaki deed hai aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyun jaakar laut aate hain

Apne dil ke darwaaze.....


Apne dil ke darwaaze khule rakhna ,,
Baaz log dastak ke qaayal nahi hote...

aarzoo dafan ho gar ....


aarzoo dafan ho gar dil mein ,
issey badhkar koi mazaar nahi...

Ishq jab tak na kare.....


Ishq jab tak na kare ruswa
aadmi kaam ka nahi rehta 

khuda jab dost hai ae "Daagh".....


khuda jab dost hai ae "Daagh", kya dushman se andesha,
hamaara kuch kisi ki dushmani se ho nahi sakta.....

Search This Blog