Saturday, March 03, 2012

Jo zindagi thi

























Jo zindagi thi ,meri jaan tere saath gayi,,
bus ab to umr ke nakshe mein waqt bharna hai..

Tum aese kaun khuda ho ki...





















Tum aese kaun khuda ho ki, umr bhar tumse,
ummeed bhi rakhooun, na-ummeed bhi na rahooun......

Unknown
Photo Credit: Movie Tiger Zinda Hai 

Ummeed to bandh jaati....






















Ummeed to bandh jaati, taskeen to ho jaati, 
vaada na wafa karte, vadaa to kiya hota

 चिराग़ हसन हसरत

Photo Credit: www.Q8romance.com

Hazaar unwan-e-Guftugoo they



Hazaar unwan-e-Guftugoo they, reh Gaye yeh soch soch ke hum,
yeh baat usey naa-Gawar hogi , Yeh lafz usey na paSand honge...

Insaan insaan ko kya deta hai....


Insaan insaan ko kya deta hai
aadmi sirf vaseela hai khuda deta hai
vo jahannum bhi de mujhko to karooun shukr adaa
koi apna hi samajhkar to sazaa deta hai

Tu nahi to zindagi mein ...

Tu nahi to zindagi mein aur kya reh jaayega
door tak tanhaayiyon ka silsila reh jaayega


dard ki saari tahein aur saare guzre haadse
sab dhuaan ho jaayeinge ekk waaqeyaa reh jaayega


yun bhi hoga vo mujhe dil se bhula dega magar
ye bhi hoga khud usi mein ekk khala reh jaayega


daayre inkaar ke ikraar ki sargoshiyaan
ye agar toote kabhi to faasla reh jaayega



Tamannaaoun ke behlaave mein .....

tamanaaoun ke behlaave mein aksar aa hi jaate hain
kabhi hum chot khaate hain , kabhi hum muskuraate hain


hum aksar doston ki bewafaayi seh to lete hain
magar hum jaante hain dil hamaare toot jaate hain


kisi ke saath jab beete huye lamhon ki yaad aaye
thaki aankhon mein ashkon ke sitaare jhilmilaate hain


ye kaisa ishteyaaki deed hai aur kaisi majboori
kisi ki bazm tak hum kyun jaakar laut aate hain

Search This Blog