Monday, January 12, 2026

Yehi gar zid tumhaari hai - A Nazm

Yehi gar zid tumhaari hai,

Chalo hum bhool jaate hain!

Sabhi waade, sabhi qasmein,

Mohabbat ki sabhi rasmein,

Nahin, manzoor jo tum ko,

Karein ranjoor jo tum ko,

Tumhaari shaad-maani hi,

Azeez-az-jaan hai jab to,

Tumhein phir tokna kaisa?

Ziyaan-o-sood ki baabat,

Bhala phir sonchna kaisa?

Chalo hum bhool jaate hain!

Mohabbat ki riyazat mein,

Wafaaon ki musaafat mein,

Qadam kis ke kahaan bahkey,

Hui kis se kahaan larzish,

Basa di jis ne ik pal mein,

Hamaari aankh mein baarish,

Ke jis ki tez boondon ne,

Kisi tezaab ki soorat,

Nishaan-e-manzil-e-dil hi,

Jala dala, mita dala,

Magar jaanan...

Kahan aasaan hota hai?

Jigar ka khoon ashkon mein,

Badalna aur bahaa dena,

Khas-o-khashaak chun chun kar,

Gharonda ik banana aur,

Usi ko phir jala dena,

Jawaan sapnon ki laashon ko,

Daroon-e-jaan chhupaa kar,

Muskura dena...

Khizaa'ein paalna khud mein,

Bahaarein baant'tey phirna,

Kahaan aasaan hota hai?

Bahot mumkin hai hum bhi haar hi jaayein,

Jawaan hai zabt jo ab tak,

Muqaabil ghum ke aaye,

Aur dhaah jaaye,

Aur is mein bhi ta’ajub kya?

Tumhaare laut aaney ki,

Bachi ho aas jo koi,

Nawa-e-be-zubaan ban kar,

Sisak kar phir se ut'they aur,

Tum tak bhi pahonch jaayein,

So tum se ye guzaarish hai,

Tab ik ehsaan tum karna,

Palat kar dekhna yun sard nazron se,

Ke jo bhi aas zinda ho,

Usey yak-sar mita dena,

Hamein pat'thar bana dena.....

(Unknown)

Saturday, January 10, 2026

नए शहर में अनजान लोग ? ऐसे बनाएं उन्हें अपना दोस्त....

नई जगह पर लोगों से दोस्ती कैसे करें?

नयी जगह पर बसना एक नई शुरुआत जैसा होता है, लेकिन शुरुआत में थोड़ा अकेलापन महसूस होना स्वाभाविक है। लोगों से मेल-जोल बढ़ाने के लिए आपको थोड़ा सक्रिय (proactive) होना पड़ेगा। यहाँ कुछ व्यावहारिक तरीके दिए गए हैं

Monday, January 05, 2026

How to visualize to draw a painting

 Visualizing a painting before your brush ever touches the canvas is a skill that blends mental focus with practical planning. Whether you struggle to "see" things in your head or you just have too many ideas at once, you can

Board Exams ki Taiyari School Pressure ke beech

 

Board Exam ki Sahi Taiyari (School Pressure ke beech)

🔹 Sabse Pehle Ek Sach Samajh Lijiye

School ke questions = practice ke liye
Board exam = presentation + clarity ke liye

School zyada questions isliye deta hai taaki:

  • Aap likhne ke aadat mein aao

  • Concept strong ho

  • Weak areas pakde jaa saken

👉 Lekin har sawal yaad karna zaroori nahi.


🔹 Golden Rule (Board Students ke liye)

“Har chapter ke 30–40% questions se

Tuesday, December 30, 2025

My Dying Conscience ...A Poem by Rashmi Trivedi

Sometimes in the dark of the night,

I visit my conscience
To see if it is still breathing,
For its dying a slow death
Every day.
When I pay for a meal in a fancy place.
An amount which is perhaps the monthly income
Of the guard who holds the door open.
And quickly I shrug away that thought,

Sunday, December 28, 2025

The Ultimate Guide to Caring for Houseplants

Houseplants bring life, color, and freshness into any space. Whether thriving in a sunny window or brightening a shaded corner, they can transform a home’s atmosphere. Proper care ensures they stay healthy and vibrant year-round.

Choosing the Right Houseplants

Selecting plants suited to the environment is the first

Search This Blog