Tuesday, March 20, 2012

Nida Fazli's nazm on death of his father

Nida Fazli wrote this nazm at the death of his father. He was not able to reach the burial coz of some reasons and he paid his tribute to his father in diz Nazm....






Tumhari qabr per

tumhari qabr per main
Fateha parhne nahi aaya

mujhe maaloon tha, tum marr nahi sakte
tumhari maut ki sachi khabar
jis ne uraaii thi, woh jhoota tha
woh tum kab the?
koi sookha hua pattaa, hawa mein gir ke toota tha.

meri aankhein
tumhare manzaron mein qaid hain ab takk
main jo bhi dekhta hoon, sochta hoon
woh, wohi hai
jo tumhari nek-naami aor bad-naami ki duniya thi

kaheen kuch bhi nahi badla

tumhare haath meri ungliyun mein saans lete hain
main likhne ke liye jab bhi, qalam kaagaz uthaata hoon
tumhein baitha hua main
apni hi kursi mein pata hoon

badan mein mere, jitna bhi lahu hai
woh tumhari
lagzishon, na-kaamiyun ke saath behta hai
meri awaz mein chup ker, tumhara zehn rehta hai

meri beemariyun mein tum,
meri laa-chaariyun mein tum

tumhari qabr per jis ne tumhara naam likha hai
woh jhoota hai
tumhari qabr mein, main dafn hoon
tum zinda ho !
tum zinda ho !
mile fursat kabhi to Fateha parhne chale aana...

(Nida Fazli)











No comments:

Post a Comment

Plz add your comment with your name not as "Anonymous"