Thursday, March 01, 2012

Beshumaar aadmi


har taraf har jagah be-shumaar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

har taraf bhagte daudte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi

roz jeeta hua roz marta hua
har naye din,naya intezaar aadmi

zindagi ka mukaddar safar dar safar
aakhri saans tak beqraar aadmi

(Nida Fazli)

No comments:

Post a Comment

Plz add your comment with your name not as "Anonymous"